tumhain kitna chah'tay hain...

tumhain kitna chah’tay hain
kabhe tum nay ye be socha
kay tumharay dil garafta
tumhain kitna chah’tay hain

ye jo chara gar hamaray
koi sa’at-e-rafaqat
sar-e-sham mangtay thay
inheen kia khabar kay hum nay
tumhain sonp dee hain ratain
tumhain da’an ke hain aankhain

tumhain zindage say barh kar
jo azeez hum nay jana’an
so , koi sabab to ho ga
kabhe tum nay ye be socha

kabhe tum nay ye be socha
kay tumharay dil garafta
pas-e-ba’am vo dar akelay
kisee shama-e-sokhta say
ye jo kar rahay hain batain
tumhain kitna chah’tay hain

sar-e-sham muntazir thay
kaheen neel-een ujalay
kaheen titlia’an laboon ke
kaheen phool jaisay aa’riz
kaheen qumqumoon see aankhain

tumhain roz-o-shab kay dukh main
kabhe bhoolna be chah’hain
to kabhe na bhool pa’aeen
kay ye ehd-e-zindage hay
jissay toorna be chah’hain
to kabhe na toor paa’en

beautiful :k: