Tumhain kitna chahatay hain
kabhi tum nay yeh bhi soucha
kay tumharay dil gireftah
tumhain kitna chahatay hain ?
tumhain apni jaan say barh kar
jo aziz ham nay rakha
so, koe sabab tou ho ga ?
kabhi tum nay yeh bhi soucha ?
sary shaam muntazir thay
kaheen neelmi ujaalay
kaheen tetleeyaan laboun ki
kaheen phoul jaisay aariz
kaheen qahqahoun see aankhain
yeh jo charagar hamaray
koe sa’at-e-rifaqat
sary shaam maangtay thay
unhain kia khabar keh ham nay
tumhain sounp dee hain raatain
kabhi tum nay yeh bhi soucha
keh tumharay dil garifta
pas-e-bam-o-dar akaylay
kisi sham-e-soukhta say
yeh jo kar rahay hain baatain
tumhain kitna chahatay hain !