Re: TuMhAiN kIa MalOoM
thanx ehsan g.
Re: TuMhAiN kIa MalOoM
thanx ehsan g.
Re: TuMhAiN kIa MalOoM
ye bhi adaab hamare hain tumhain kya maloom hum tumhain jeet k haare hain tumhain kya maloom
kese nashtar thay un ankhon main sab k teer seene main utare hain tumhain kya maloom
jise chaho usay sab kuch sonp do apna sab se juda usool hamare hain tumhain kya maloom
na kabhi siski or na he ah ki kabhi dil main chupaye sab angaray hain tumhain kya maloom
kabhi ikk nazar ko tarso,kabhi bar bar dekho ishq kay rang bhi nirale hain tumhain kya maloom
ikk saya sa lehraya tha kuch ajab sa dekh kay phir doob gaye kinare bhi tumhain kya maloom
ab koi aas,koi umeed nhi baqi hum tumhain jeet k haray hain tumhain kya maloom...
********Pal pal kaise guzarta hai tumhe kya maloom?
Pal pal qayamat hai tumhe kya maloom!
Furkat ke lamhon mein na jeete hain na marte hain
tum saath ho to sa'adat hai tumhe kya maloom!
honton pe na tabassum na aankhon mein khushi
utra hua chehre ki ye rangat hai tumhare bina tumhe kya maloom!
tanhaiyon mein aksar baatien karte hai tumse
is kadar aap ki kurbat hai tumhe kya maloom!
lambe safar par nikal pade hai tanha
ye hausla e raghbat hai tumhe kya maloom!
kaun bhala apke siva saath nibhata hai yahan
chand lamhon ki rifaqat hai tumhe kya maloom!
*****milna humara to tai hai ek na ek din
woh jalwa e haseen mulaakaat hai tumhe kya maloom!
chhaya kaisa khumar hai khud se begane huye hai
barson ki yeh chaahat hai tumhe kya maloom!
aise ehsaas ki deewangi maar daalegi Tamanna ko..
kya bittati hai is dil par tere bin tumhe kya maloom***
Re: TuMhAiN kIa MalOoM
wow..great :k:
boht aala ghazal hai Shazia jee:)
Re: TuMhAiN kIa MalOoM
********Pal pal kaise guzarta hai tumhe kya maloom? Pal pal qayamat hai tumhe kya maloom!
Furkat ke lamhon mein na jeete hain na marte hain tum saath ho to sa'adat hai tumhe kya maloom!
honton pe na tabassum na aankhon mein khushi utra hua chehre ki ye rangat hai tumhare bina tumhe kya maloom!
tanhaiyon mein aksar baatien karte hai tumse is kadar aap ki kurbat hai tumhe kya maloom!
lambe safar par nikal pade hai tanha ye hausla e raghbat hai tumhe kya maloom!
kaun bhala apke siva saath nibhata hai yahan chand lamhon ki rifaqat hai tumhe kya maloom!
*****milna humara to tai hai ek na ek din woh jalwa e haseen mulaakaat hai tumhe kya maloom!
chhaya kaisa khumar hai khud se begane huye hai barson ki yeh chaahat hai tumhe kya maloom!
aise ehsaas ki deewangi maar daalegi Tamanna ko.. kya bittati hai is dil par tere bin tumhe kya maloom***
good one Sarmad.
Re: TuMhAiN kIa MalOoM
thanx for likin inno.