**Tumhain jaan’na ijazat hai
Koi bhi rasta chun lo
Humaray muntazir tehro
Ya hum ko alvida keh do
Tumhain jaa’nan ijazat hai
**
**Humaray paoon main tou
Waqt ki zanjeer liptii hai
Qabal is k, k thak jaoo
Humaray saath chal k tum
Mohabbat ki thakawat tum ko
Hum say bad-guma’an kar day
Qabal is k, k har aik
Har aik wapsi ki raah khoo jaye
Jo socha bhi nahi hum nay
Wohi kal ko jo ho jaye
Tumhain jaan’an ijazat hai
Koi bhi faisla kar lo
**
**Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh do
**
**Humara tum say ye wada hai
Tumharai yaad ko hum tou
Sada dil k dareechay main
Youn he aabad rakhain gain
Tumhain hum yaad rakhain gain
Tumhain jaan’an ijazat hai
**
**Tum apnay hosloon main jub
Thakawat see kabhi paoo
Kisi piyaray say mukhray ki
Haseen aankhon main kho jaoo
Ijazat hai tumhain jaa’nan
Agar is pal jo tum chahoo
Koi bhi faisla kar lo
**
Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh doo…!!
Re: Tumhain jaan’na ijazat hai
Ijazat dena aasan hai, lekin jab agala ijazat ke baad kisi aur ko chunta hai to :hinna:
Re: Tumhain jaan’na ijazat hai
Kuch nhi hota…
Agar wo mera hota to kisi or ko chunta hi nhi…
Re: Tumhain jaan'na ijazat hai
Kuch nhi hota...... Agar wo mera hota to kisi or ko chunta hi nhi...
may be wo aap se mayoos ho gaya ho
Re: Tumhain jaan'na ijazat hai
may be wo aap se mayoos ho gaya ho
**
istarah ke sitam jo kartey rehay tum khud pe
gardish-e-ayam aik roz tum ko mitta dale gi....**
Re: Tumhain jaan'na ijazat hai
**Humara tum say ye wada hai
Tumharai yaad ko hum tou
Sada dil k dareechay main
Youn he aabad rakhain gain
Tumhain hum yaad rakhain gain
Tumhain jaan'an ijazat hai
best 1
**