Tumhain jaanay ki jaldi the
so apni jald-baazi main
tum apnay lams ki kirnain, nazar kay zaaviye, pooron ki shammain..
mairay seenay main bharakta chor aae ho
Vahan takye kay neechay
kuch sunehray rang ki tooti hue saansain
kisi nozaeeda khushbo kay taza khoab'chay
bistar ki shiknon main giray kuch khoobro lamhay
dressing room main hanger se latki aik sad-rangi hansi ko
bus achanak hi pas-e-parda latakta chor aae ho
Tumhain jaanay ki jaldi the
Abb aaisa hai kay jab bhi
be-khayali main sahi, laikin kabhi jo iss taraf niklo
tu ittna yaad rakhna
ghar ki chaabi sadar darvaazay kay daen hath per
aik khool main rakhi milay gi
Aur tumhain maloom hai
kaproon ki almaari hamesha se khuli hai
Safe ki chaabi tu tum nay khud hi gum ki the
so voh tab say khula hai aur uss main kuch
tumhari choorian , aik aadh angoothi
aur un kay beech main kuch zard lamhay
aur in lamhoon ki girhon main bandhi kuch lams ki kirnain
nazar kay zaaviye,
pooron ki shammain aur sunehray rang ki tooti hue
sansain milain gi…
aur voh sab kuch jo maira aur tumhara..
mushtarik sa asasa hai..simat pae tu lay jana
Tumhain jaanay ki jaldi the
so apni jald-baazi main
tum apnay lams ki kirnain, nazar kay zaaviye, pooron ki shammain..
............
pharmacist !...you stand out in choice and selection. your choice is really tremendous, Wah, Maza aa gaya
thanks for sharing......
[/QUOTE]
Thats a compliment for me ...THanks a lot!
Tumhain jaanay ki jaldi the
so apni jald-baazi main
tum apnay lams ki kirnain, nazar kay zaaviye, pooron ki shammain..
mairay seenay main bharakta chor aae ho
Vahan takye kay neechay
kuch sunehray rang ki tooti hue saansain
kisi nozaeeda khushbo kay taza khoab'chay
bistar ki shiknon main giray kuch khoobro lamhay
dressing room main hanger se latki aik sad-rangi hansi ko
bus achanak hi pas-e-parda latakta chor aae ho
Tumhain jaanay ki jaldi the
Abb aaisa hai kay jab bhi
be-khayali main sahi, laikin kabhi jo iss taraf niklo
tu ittna yaad rakhna
ghar ki chaabi sadar darvaazay kay daen hath per
aik khool main rakhi milay gi
Aur tumhain maloom hai
kaproon ki almaari hamesha se khuli hai
Safe ki chaabi tu tum nay khud hi gum ki the
so voh tab say khula hai aur uss main kuch
tumhari choorian , aik aadh angoothi
aur un kay beech main kuch zard lamhay
aur in lamhoon ki girhon main bandhi kuch lams ki kirnain
nazar kay zaaviye,
pooron ki shammain aur sunehray rang ki tooti hue
sansain milain gi...
aur voh sab kuch jo maira aur tumhara..
mushtarik sa asasa hai..simat pae tu lay jana
Mujhe jaanay ki jaldi hai...
By:
Ayub Khavar
[/QUOTE]
Every word is quotable! What an amazing style of
poem. Thanx for sharing with us.