Tumhay dillagi bhool jani paray gi
Muhabbat ki rahon may aa kar to dekho
Wafaon ki hum say tawaqqu nahin hay
magar aik bar azmaa kar to dekho
zamany ko apna bana kar to dekha
hamin bhi tum apna bana kar dekho
Khuda kay liyay Chor do ab yai pardaa
kay hain aaj hum tum nahin ghair koi
shab-e-wasl bhi hai hijaab is qadar kyoon
zara rukh say aanchal utha kar to dekho
jafayen buhat ki buhat zulm dhaae
kabhii ik nigahay karam is taraf bhi
hamasha howay daikh kar mujh ko barhum
kisi din zaraa muskara kar to dekho
jo ulfat may har ik sitam hai gawara
yai sab kuch hai paas-e-wafa tum say warna
satatay ho din raat jis tarah mujh ko
kisi Ghair ko youn sata kar to dekho
agarchai kisi baat par woh khafa hai
to acha yehi hai tum apni si kar lo
woh manay na manay yai marzee hai unki
magar un koo pur-num mana kar to dekho
tumhay dillagi bhool jani paray gi
muhabbat kee rahoo may aa kar to dekho
~~~~~*~
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
hehehe u r right hanie humain bhi tab hi zaroorat parrti hai filhal shukar hai exame nahin hain warna hum yahan na hote badaam kha rahe hote and study kar rahe hote room me band but in few months start ho jaain ge