Jaate hue tumse aur kya maangein
Bas ik karam ki nigaah kar dena
Bheegte mausam mein jo kabhi baahar niklo
Tho khud ko sapurd-e-panaah kar dena
Kuch logon ka ye mamool ban gaya hai
Banaa ke aashyanein tabaah kar dena
Humaare bas mein tho yehi reh gaya hai
Tumhaari mehak ko bad-e-sabaa kar dena