Tumhaari bheegti palkon se maiN ne baarha poocha
keh kya maanind-e-sheesha paththaroN meiN baal aata hai
asar aNgez hai ab tak mohabbat ka wohi jazba
jo aise hosh-mandoN ko bhi yuN paagal banaata hai
Tumhaari bheegti palkon se maiN ne baarha poocha
mizaaj-e-husan meiN yuN yak-b-yak kya inqalaab aaya
sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
baDi taakheer se tum ko sitaaroN ka hisaab aaya
Tumhaari bheegti palkon se maiN ne baarha poocha
keh tark-e-rabt pe kya mujh se waihshi yaad aate haiN
taa-alluq toDna aasaan tha to aaNkh kyuN nam hai
anaa-parwar jafa-pesha bhi yuN aasuN bahate haiN
Tumhaari bheegti palkon se maiN ne baarha poocha
keh jalne aur jalaane meiN bhala kya lutf aata hai
bas ek jhooti anaa ke waaste barbaad ho jaan
khudi ke zaa-um meiN insaaN kitne dukh uThaata hai
Tumhaari bheegti palkon se maiN ne baarha poocha*