***tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa …
vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hai.n
ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa ……
vafaa kare.nge nibhaaye.nge baat maane.nge…..
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa ***