**
Yeh zindagi aisi na thi pehlay hamari
Na jaanay tum kab ayaay kab ham ko jagaya tum nay
Na jaanay kab dil baygaana howa kab wo tumhaara howa
Aik kami thi jo poori howi Ik ehsaas saa jo paida howa
Ik junoon sa paida howa Ik tarap si baydaar howi
Badal kar rakh dia sab kuch tum nay
Abb dil apna raha na dil waala
Hamain;
Kitna pehchannay lagay ho tum
Koi apna aap bhi nahi jaanta itna
Parh laitay ho band honton ko tum
Chupti nahi abb khushk hansi tum say
Daik kar Kar laitay ho namm aankhon ko tum
Jaga daiti hamain aksar yaad tumhaari
Itna shiddat say yaad kartay ho tum
Bhulaaya nai kisi pal tum nay ham ko
Bin hamaray Bitaaya nai koi pal tum nay
Ik jaan do qalib banaya tum nay
Iss jisam ko apna banaya tum nay
Bohat guroor hay ham ko ham par
Wajah bhi to aisi rakhtay hain ham
Q na ho guroor ham ko aakhir
Tum sa jo nahi daikha kabhi ham nay
Itna shiddat say yaad kartay ho tum
Bhulaaya nai kisi pal tum nay ham ko
Bin hamaray Bitaaya nai koi pal tum nay
Ik jaan do qalib banaya tum nay
Iss jisam ko apna banaya tum nay
Bohat guroor hay ham ko ham par
Wajah bhi to aisi rakhtay hain ham
Q na ho guroor ham ko aakhir
Tum sa jo nahi daikha kabhi ham nay
wow it is beautiful
** Badal kar rakh dia sab kuch tum nay Abb dil apna raha na dil waala **
words of magic you have used to express your feelings, someone very lucky :k:
mujhay qasam say bohat sharam aarai hay abb my face was all red and hot…and I really am blushed …lol pata nai q indeed it was nothing but aap sab ki mohabbat aur piaar hay jo time nikaal kar parhtay bhi kuch aur reply bhi kartay hain…really honoring…
sab ka shukariaa Mahnoor, lucky wo nai balkay main hoon and no magic , I am not jadugar
**
Swera
Rabika
Ghazal
Cute-pie
Azad
Jaan lewa**
sab ka bohat bohat shukriaa
Arif Nawaz, thanks you sir,yep its dedicated to whom knows well byself!
** Lamhay ** aap ka husn-e-nazar hay sachi warna hamain shairi kahan aati hehe thank you dear