tum zindage say dartay ho?!

Here are two version of “Tum Zindage Say Dartay Ho?!” Can someone please tell me the poet name and which one is the correct one? There are few words that i never heard (highlighted in Red), i would really appreciate if anyone can translate those words into easy urdu or english words (Anwaar bahii, Amal or anyone else).. If not then enjoy the poem. Thank you in advance.

First Version:
Zindagi say dartay ho?
zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hayn
aadmi say dartay ho?
aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hayn
aadmi zubaan bhi hai, aadmi bayaan bhi hai
is say tum naheen dartay …
harf aur muaani kay rishtay-e-aahan say aadmi hai vaabasta
aadmi kay daman say zindagi hay vaabasta
is say tum naheen dartay …
ankahi say dartay ho?
jo abhi naheen aaye us gharii say dartay ho
us gharii kay aanay ki aagahii say dartay ho
pehlay bhi tu guzray hain
dor naa’rasaaii kay, beriyaa khudaaii kay
phir bhi yeh samajhtay ho, heech aazaruumandii
yeh shab zubaanbandii, hai rahe khudaabandii
tum yehi samajhtay ho, tum magar yeh kiya jaano
lab agar naheen hiltay haath jaag uthtay hayn
haath jaag uthtay hayn raah ka nishaan ban kar
noor ki zubaan ban kar
haath bol uthtay hayn subha ke azaan ban kar
roshanii say dartay ho
roshanii tou tum bhi ho, roshanii tou hum bhi hain
roshanii say dartay ho?
shehar ki faseelon par
dev ka jo sayaa tha, paak hogaya aakhir
az-dahaam-e-afsaan say fard kii navaa aayee
zaat ki sadaa ayee
raah-e-shauq main jaisay raahraavi khoon lapkay
ik nayaa junuun lapkay
aadmi chalak uthay
aadmi hansay dekho, shehar phir basay dekho
tum abhi say dartay ho
haan abhi tou tum bhi ho, haan abhi tou hum bhi hain
tum abhi say dartay ho.

Second Version:
Zindagi say dartay ho?
Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hain
Zindagi say dartay ho…
Aadmi say dartay ho?
Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hain
Aadmi zubaan bhi hay, aadmi bayaan bhi hay, us say tum nahi dartay…
Harf aur manay kay rishta-e-ahan say aadmi hay wabasta
Aadmi kay daman say zindagi hay wabasta, us say tum nahi dartay…
Ankahi say dartay ho?
Jo abhi nahi aayi us ghari say dartay ho, us ghari ki amad ki agahi say dartay ho?
Pahlay bhi to guzray hain dor na rasayi kay, bairiya khudayii kay
Phir bhi ye samajhtay ho haich arzumandi ya shab-e-zuban bandi hay rahay khuda wandi
Tum magar ye kya jano…
Lab agar nahi hiltay, hath jaag uthtay hain
Hath jaag uthtay hain rah ka nishan bankar
Noor ki zuban bankar
Hath bol uthtay hain subh ki aazan bankar
Roshni say dartay ho?
Roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hain
Roshni say dartay ho…
Shahar ki faseelon par daiw ka jo saaya tha, paak hogaya akhir
Raat ka libada bhi chaak hogaya akhir
Khaak hogaya akhir…
Ashdahan main insaan say fard ki nawa ayii
Raat ki sadaa ayii
Rah-e-shauq main jesay rah ro ka khoon lapkay
Aadmi chalak uthay
Aadmi hansay dekho, shahar phir basay dekho
Tum abhi say dartay ho?
Haan abhi to tum bhi ho, haan abhi to hum bhi hain
Tum abhi say dartay ho…

Re: tum zindage say dartay ho?!

i post this 1 week ago check this
http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=237704

Re: tum zindage say dartay ho?!

Poet ka naam hay Noon Meeem Rashid

Re: tum zindage say dartay ho?!

^ ahhh. Thank you so so so much! and i didn't know you have posted it before. Urdu version always helps a lot! Thank you! C:

oh and mods can merge or lock this thread.