Tum yuN udaas na raha karo

Yun to nazm maiN likh nahiN paata magar jazbaatoN ne lafzoN ka roop lekar es baar kuchh aisa banaaya hai jo shaayad nazm jaisa hii kuchh hai..sonchta hooN aap logoN ke saamne hii pesh kar dooN ese decide karne ke liye ke ye kya hai…your comments are always valuable for me…

Tum yuN udaas na raha karo

Es zindagii ke kitaab ka
Har waraq hai nayee dastaaN
Koii mil gaya kisii moR pe
Kisii ka kho gayaa hai kaarwaaN
Esii kitaab ke kissi waraq pe
thii apnii bhii eik dastaaN
Jise shaayad tumne bhula diya
Meri taqdeer cheekhatii rahii
Tumne harf harf mita diya
UnhiiN harfoN ko phir samet kar
MaiN ne lafzoN meiN aaj dhaala hai
Oosii waraq ko oosii kitaab meiN
MaiN ne phir se joR daala hai
Ye jo kitaab hai tumhaare haath meiN
Eska eik waraq hai muRa hua
Eik dua es meiN darj hai
Jo hai aansooN se likha hua
Jab aasmaaN pe chaand ho
Tumhaara Dil magar naashaad ho
Jab aaNkh zara sii nam lage
Jab khushii ke saath bhii gham lage
Jab safar meiN saath tanhaayee de
Na door tak kuchh dikhaayee de

Es kitaab ke es warq ko
Tum band aakhoN se paDha karo

Tum yuN udaas na raha karo

By Pramod

khoob

shukriya, azad.

beautiful...

:k:

Wow..

beautiful… :k: :k:

thx for sharing pramod bhaiyya :flower1:

and keep it up… its lovely … :k: :slight_smile:

Bahut Khoob Pramod Bhai :k: :k:

poetry section main na jane kyun woh jaan nahi rahi so plz keep sharing :slight_smile:

Re: Tum yuN udaas na raha karo

wah kia kehney pramod bhai aap key :kiss:

nazm pasand karne aur meri honsal afzaai karne ke liye aap sabhii ka bahot bahot shukriya ** sherni, blushing_vision,HeArT HaCKeR sahiba,waseem sahab aur chodhry sahab **.

two thumbz up .. way up:k: :k: … keep it up and keep sharing:flower1: .. Amal bahii to post nahi kartay per ap kartay raha karo:-) .. bohut khoob … thanx for sharing:flower1:

bahot bahot shukriya ** GKK **. koshish karoonga kii post karta rahooN..Amal Sahab to shaayar haiN..maiN bas yuN hii kabhee kabhee kuchh likh deta hooN…jab bhii likhooga.post karoonga..Infact ! aap logoN ke honsla afzaai ke baad hii kuchh naya likh paata hooN…

Thanks once again…

Pramod

beautiful :k:

Thanks ** Ada **

Umda :k:

hummmm wow bohot hi achi sooch hai aur us se bhi ache andaaz aur alfaaz men aapne pesh kiya hai.....aap kabhi kabhi likhte hain issi liye shaid itna acha likhte hain ...aik shair aapke liye
kabhi kabhaar mila kar
dukh sukh bant liya kar
thanx for sharing

Nazm pasand karne aur honsla afzaai karne ke liye bahot bahot shukriya
** Capricorn and Pyara sa doost **.

Tum yuN udaas na raha karo

:)

wow buhat hi achi hai very nice very very nice …
:flower1:

bahot bahot sukriya ** Shaheed-e-Arzoo and Nazi83 **.