tum ye kaise judaa ho gaye

** tum ye kaise judaa ho gaye har taraf har jagah ho gaye

apna chehra na badlaa gaya
aaine se khafaa ho gaye

jaane vaale gaye bhi kaha
chaand sooraj ghataa ho gaye

bewfaa to na vo the na ham
yuun huaa bas judaa ho gaye

aadmi banana aasaan na tha
shekh jee khuda ho gaye **

  • Nida Faazli -

:teary3: keon jura ho gaye …(waja bayan kijiey)

wajah yei hei keh un kei pas time torha tah :bummer:
:stuck_out_tongue:

Re: tum ye kaise judaa ho gaye

:nono: joth nehe boltei
btw :k: nice :slight_smile:

Buss kia batain baghair ticket safar karnay ka kuch apnna hi maza hay

Re: tum ye kaise judaa ho gaye

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
bewfaa to na vo the na ham
yuun huaa bas judaa ho gaye
[/QUOTE]

dil ke behlane ko, Ghalib, yeh khayal accha hai

:(

Re: Re: tum ye kaise judaa ho gaye

[QUOTE]
*Originally posted by irem: *

dil ke behlane ko, Ghalib, yeh khayal accha hai

:(
[/QUOTE]

exactly my thought...but phir bhi dil to behel jaata haai na :)

:hehe:

well hum to ticket rakh kar bhi nahi dikhaate…pakde jaane ka maza hi kuch aur hai :smiley:

Re: Re: tum ye kaise judaa ho gaye

jhoot nahi ekdum sach…

:frowning: ab kya bataye koyal jee :teary2: lambi story hai :frowning:

wah bahut khoob!