Tum waqai achi larki ho
Ya mujh ko achi lugtee ho
Chehray ki udaasi duur karo
Kyoon jee apna runjur karo
Wo waday Wafa nibhanay k
Tum bhool gayee hamein yaad rahay
Kya shaan tumhari ghut jaty
Jo aifa kurnay aa jaty
Ab kin batoon mein khooi ho
Ab kin sochoon mein Doubi ho
Chahray ko zara uthaoo tu
Ankhein bhee chaar kur dhaikho
Ghum churo Dil ki Baat kaho
Tum Hunstee achi lugteee ho
Chehray ki udaasi duur karo
Wo khut jo tumhara aaya tha
Wo khut tha ya afsaana tha
Gur peet Hamari chahiye thee
Jhooli ko zara pehlanaa tha
Jub hum nay kaha tha mun jao
Aur choor k hum ko mut jao
Tum hunsti thee chup rehtee thee
Chahray pay liye udaasi si
Tum baykul baykul rehtee thee
Jub hum nay kaha tha ghum choru
Ghum churo Dil ki Baat kaho
Tum hunsti achi lugtee ho
Chehray ki udaasi duur karo
Haan Eid tu aaty rehtee hai
Pur deed tu baqi rehtee hai
Gur eid pay tum hee aa jaty
Aur deed tumhari ho jaty
Ye mouqa acha mouqa tha
Tum aaty Galay say lug jaty
Wo baat tu aany jani si
Pur bun gayee aik kahani si
Ab is ka kissi pak karo
Tum hunsti achi rehti ho
Chehray ki udaasi duur karo
Tum waqai ACHI LARKI ho
Ya Mujh ko Achi lagtee ho…