Lamhay
1
Jo chahtay ho diloon main koi jagha rakhna
Mohabbatoon main bhi thora sa faasla rakhna
Buss uski yaad main mat zindagi ko kho dena
Diloon ka raasta sab ke liyye kusha rakhna
In aansoon ko yoon hi raaigaan na janay do
Wo mil gaya tu kuch uske liyye bacha rakhna
Jab hum ney maan lia dil ka rogh sabka naseeb
Tu phir ilaaj hai kia?aur kia dawa rakhna
Wo chahatoon main tumhain khoob aazmaaye ga
Tu phir ye shirt hai tum khud main hausla rakhna
Na janay ahd-e-mohabbat se kab mukar jaaye
Tum uskay haath ka likha hua chupa rakhna!!
Dilsay
2
Re: Tum uskay haath ka likha hua chupa rakhna!!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Na janay ahd-e-mohabbat se kab mukar jaaye
Tum uskay haath ka likha hua chupa rakhna!!
[/QUOTE]
Kiya baat hai jee.... very nice thanks for sharing....
Wah... Tareef kay liye alfaaz nahi really... Thanks for sharing...
b/w who is the poet of this master piece...
Azad
6
Re: Tum uskay haath ka likha hua chupa rakhna!!
Excellent :k: :k:
Lamhay aap ki chahat daikh kar aap say dil laga’nay ko jee chahta hay
Lamhay
7
Tuba astaghfaar azad ji aisi baatien aap jaisoon ko zaib nahin deti !

aur waisay bhi dil na lagana dil lagana not good for ur health !
jaab tak dum main dum hain iss buri bala say bachay rahiye !!
Azad
8
ohhhhh to aap bori bala hain … chalain acha hay koi aadhoori naiki kaam agaii warna hum to chalay thay bala say galay milnay.
p.s.
khair aghar aap ke zooq ka yahi haal raha to phir sochain gay
Lamhay
9
definitely im buri bala aab say Bcareful !
ab dont b cheechar !
Re: Tum uskay haath ka likha hua chupa rakhna!!
Nice :k:
Azad
12
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
definitely im buri bala aab say Bcareful !
ab dont b cheechar !
[/QUOTE]
ohh hum dar gay, ab hum ja kar "D. to Iraqi ... " wali thread main allah alah karain ge.
Allah hi Allah kia karo, Buri bala say bacha karo