Jub beynaam hooti in rahoon per
beynishaan hooti in musfatoon per
tumhain piyaar ka koi geet na milay
aur dard ki koi reet na milay
jub rastay simat jayain fasiloon per
aur bin mangay ki jeet milay
tum sham se phelay a jaana
jub har tarah kay chara gar ko
har konay mein har khudray mein
tumharay naam ki preet milay
jub diwanay ko farzanay say
aur shama ko parwanay say
har qisam ki bheek milay
tum sham se phelay a jaana
jub nazukian dil labahtien hon
jub shehzorian bul khatien hon
jub theek adhi raat ko
udaasian har soo chati hon
tum sham se phelay a jaana
jub maat karo to sheh ho jaye
jub sheh karo to maat
jub yadoon kay samandar mein
har lehar sahil ko jati ho
tum sham se phelay a jaana
jub man key sundar baan mein
har gaam hariyali ho
har konay mein
her goshay mein
khoosioon ki perchayian hon
tum sham se phelay a jaana
jub dariya mein koi larzish na ho
aur naoo tumhari par lagay
jub soochon kay sub dairoon ka
na mehwar ho na markaz ho
jub kehtay kehtay bey dumm ho jaoo
aur kehnay ko kuch na bachay
tum sham se phelay a jaana
By Dr. Sahiba
wow dr jee boht ache lika hei
k:
Nice
![]()
great!:k:
Re: tum TUM SHAM SA PEHLA A JANA…
Bohat khoob Dr. Sahiba:k:…bohat acha likha hey aap ney. Thanx for sharing with us.
Sweeet.
Buhat khoobsurat nazm hai Doctor Sahiba :k:
Buhat khuub,keep it up &Thanks for sharing :-)
Dr. jee tootay dill kay liya bahtreen nuskha hai.... beautiful...
bohtu khoob likhee hai apne:k::k:
thanks:flower1:
Nice dr sahiba :k:
keeep it up ![]()
bohat khub likha hae aap ne:k:
beautiful work ther Dr.
Dr cha gae bhi Cha gae ![]()
:k:
thanks of all of u that u apppreciate my work.
Dr.Sahiba aap ki shairi nahin lagti.kahan se churai hai.bata dein.dekhain kitnay muazaz
members ko aap nay pagal kiya hoa hai woh
becharay aap ki kawish samajh rahain hain.
wahhhh bhut khoobsorut nazm ha dr sahiba :k: