Jis se bandhay thay dono woh gham nahe rahay hain
Tum, tum nahe rahay ho hum, hum nahe rahay hain
Lamhoon ke pair per hain kuch phool dard-e-gham ke
Jeewan mein ab khushi ke mausam nahe rahay hain
Raahoon mein ab khara hoon phailaye haath khaali
Gham thay mera asaasa aur gham nahe rahay hain
Ro ro ke dukh mein tere sehra sa hogaya hoon
Ab aankh ke kinaaray nam bhi nahe rahay hain
Tu aur simt mein hai aur mein aur simt mein hoon
Ulfat ke rastay ab baaham nahe rahay hain
Fikr-e-muaash ne tau jazboon ko raund daala
Aashiq wagar-na hum bhi kuch nahe rahay hain
Tum hi thay meri duniya tum hi meri muhabbat
Tum jo nahe tau donoo aalam nahe rahay hain …