~*~ Tum, tum nahe rahay ho ... Hum, hum nahe rahay hain ~*~

***Jis se bandhay thay donoo, woh gham nahe rahay hain
Tum, tum nahe rahay ho, hum, hum nahe rahay hain

Lamhoon ke pair per hain, kuch phool dard-o-gham ke
Jeewan mein ab khushi ke mausam nahe rahay hain

Raahon mein ab khara hoon, phailaye haath khali
Gham thay mera asaasa aur gham nahe rahay hain

Chaahat ke geet mein hai koi kami yaqeenan
Aakhir tere mere surr kyon jamm nahe rahay hain

Roo roo ke tere dukh sehra sa hogaya hoon
Ab aankh ke kinaray bhi nam nahe rahay hain

Tou aur simt mein hai, mein aur simt mein hoon
Ulfat ke raastay ab baaham nahe rahay hain

Fikar-e-muaash ne tau jazboo ko rondd daala
Aashiq wagar-na hum bhi kuch kam nahe rahay hain

Tum hi thay meri duniya, tum hi meri muhabbat
Tum jo nahe tau donoo aalam nahe rahay hain …


“Wasi Shah”

Re: ~~ Tum, tum nahe rahay ho … Hum, hum nahe rahay hain ~~

One of my fav, Beautiful Sharing Arif..:lajawab:

Re: ~~ Tum, tum nahe rahay ho … Hum, hum nahe rahay hain ~~

***Jis se bandhay thay donoo, woh gham nahe rahay hain
Tum, tum nahe rahay ho, hum, hum nahe rahay hain


wah g wah kia baat hay :lajawab:

Re: ~~ Tum, tum nahe rahay ho ... Hum, hum nahe rahay hain ~~

Thank you Aryaan and Sannan for liking ...