Zindagi ke melay main, khuahishon ke relay main
Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main
Waqt ki ravani hai, bakht ki garani hai
Sakht bezamini hai, sakht la-makani hai
Hijr ke samandar main, takht aur takhtey ki
Aik hi kahani hai, tum ko jo sunani hai
Baat go zara si hai, baat Umr bhar ki hai
Umr bhar ki baten kab, do ghaRi men hoti hain
Dard ke samandar men, un-ginut jazeeray hain
Be - shumaar moti hain…
Ankh ke dareechay men, tum ne jo sajaya tha
Baat us diyay ki hai, baat us giley ki hai
Jo lahoo ki khilvat men, choor ban kar ata hai
Nabz ki faseelon pe, toot-toot jata hai
Zindagi se lambi hai, baat rat-jagay ki hai
Rastay men kaisay ho? baat takhliyey ki hai
Takhliyey ki batoN men, guftugo izafi hai
Pyaar karne valon ki, aik nigah kafi hai
Ho sakay to sun jao, aik din akelay main
Tum se kia kahain janaN is qadar jhamelay main?
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
Kah bhi do yaara … buhat khoob keep sharing 
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
:k:
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
{Waqt ki ravani hai, bakht ki garani hai
Sakht bezamini hai, sakht la-makani hai}
kia kehney,,,,
Hum se mat pooch rastey gher ke
Hum musafir hain zindagi bher ke
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
{{Hijr ke samandar main, takht aur takhtey ki
Aik hi kahani hai, tum ko jo sunani hai}}
Thanks for sharing such a nice and captivating poetry!
Koyal
6
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
nice one thanks 4 sharing :)
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
wah wah chah gaiy hain jee aap .... Araz Karnay ko gi chah raha hay par ....
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
Par????????????????????
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
Par Sara Gi phir shuro ho jain giiii …
mera matlab hay sara gi ko keon takleef doon she’r par she’r lkhnay key
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
ha ha ah,,,
Sannan ji ap mana to ker ke dekhiye hum,,, aik herf na nikalein mon se,,
Weseyy
Karey safer mai ager rasta badalna tha
To ibtada mai merey sath hi na chalna tha
Sannan
11
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
Buhat khub but its repeated she’r janab and i’ve given answer of this She’r already … 
Re: Tum se kia kahain janaN, is qadar jhamelay main?
arey to apney to wesey bhi jawab nahi na dena ab,,,,,