Tum se kia kahain Jaanan

**zindagi kay mele main, khuwahishoon kay relay main
tum se kia kahain jaanan, is qadar jhamele main

waqt ki rawani hai, bakht ki girani hai
sakht bay-zameeni hai, sakht la-makani hai

hijr kay samandar main
takht aur takhtay ki ek kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai
umar bhar ki baatain kab do ghari main hoti hain
dard kay samandar main
un-ginat jazeeray hain, bay-shumaar moti hain
aankh kay dareechay main tum nay jo sajaya hai
baat is diyay ki hai
baat is gilay ki hai
jo laho ki khilwat main chor ban kar aata hai
lafz ki faseloon par toot toot jata hai
zindagi say lambi hai, baat rat-jagay ki hai
raastay main kaisay ho
baat takhliyay ki hai

takhliyay ki batoon main guftugoo izafi hai
piyar karnay waloon ko ek nigah kafi hai

ho sakay to sun jao ek din akailay main
tum se kia kahain jaanan is qadar jhamele main**

Re: Tum se kia kahain Jaanan

You have an excellent taste.. its one of my favourite.. abhi tu hum apki last sharing nahi bhoolay, aap aik aur moti lay ayeen is mehfil ko sajanay.. shukran :)

Re: Tum se kia kahain Jaanan

Lajawaab intikhaab … :k:

Re: Tum se kia kahain Jaanan

thanks for appreciation. bas ap sab ki doa chahiye :)

Re: Tum se kia kahain Jaanan

thank you, bhai ap se aik kaam kaha tha. yaqeen karain mere zehn se us nazm ki khobsorti nikal nai rahi aur alfaaz mujy yaad aa nai rahay :frowning: :bummer:

Re: Tum se kia kahain Jaanan

Very Nice Sadaf…:k:

Re: Tum se kia kahain Jaanan

very nice :k: