hum nay soch rakha hai
chahy dil ki har khwahish
zindagi ki ankhon say
ashk ban k beh jayay
ghar ki sari deewarain
chat samait gir jayin
aur bay muqaddar hum
iss badan k malbay main
khud he kio na dab jayen
tum say kuch nahi kehna
kaisi neend thi apni
kaisay khwaab thay apnay
aur ab gulabon par
neend wali ankhon par
narm kho say khwabon par
kio azaab tootay hain
tum say kuch nahi kehna
ghir gayay hain raton main
bay libaas baton main
iss tarah ki raton main
kab chiraagh jaltay hain
kab azaab taltay hian
ab to in azaabon say
bach k bhi nikalnay ka
rasta nahi janan!
jiss tarah tumko bhi
lazawaal lamhoon say
wasta nahi janan!
hum nay soch rakha hai