Tum say duri
Tumahari khushi kay liya hai
To phir
Tum khush rahoo ka aaj say hum
Door hoo gaeya
Ajj say tum nahi soono gay mari aahain
Mari takleef tum ko mahsoos nahi hoo gee
Mujah par jo guzaray gee woh
Mujah tak he rahay gee
Tum ko mari yaad say kuch nahi milay gaa
Jis taraha tum nay chaha
Bana diya mujah koo
Kar diya mujah ko auroon kay hawalay
Aab kiya hai ka zindagi guzray ya na guzaray
Tum khush hoo ya he kafi hai
Tum maray sath khush thay he kab
Tum maray sath thay he kab
Aab kis baat ka soog manain hum
Aab kis baat ko
Yaad kar kay rooyan hum
Har baat
Gawara thee magar
Aab satha behi gawara nahi
Dil dukha hai
Magar toota nahi
Tum phir say koshish karo…
Dilsay