Yaad ki Raah-guzar jis peh issi Surat say
muddattaiN beet gaii haiN tumhaiN chaltay chaltay
khatam ho jaaey jo do chaar qadam aur chalo
moR paRta hay jahaaN dasht-e-faraamoshi kaa
jis say Aage na koii maiN huN na koi tum ho
saans thaame haiN nigaahaiN keh na jaanay kis dam
tum palat Aao, guzar jaao ya muR kay dekho
garchay waaqif haiN nigaahaiN keh yeh sab dhoka hay
gar kahiN tum say ham-aghosh huwii phir say nazar
phuut nikley ga wahaN aur koi Raah-guzar
phir issi tarah jahaaN ho ga muqaabal paiham
saaya-e-zulf ka aur junbish-e-baazu ka safar
doosri baat bhii jhuuthi hay keh dil jaanta hay
yaaN koii moR, koii dasht koii ghaaT nahiN
jis kay parday maiN meraa maah-e-rawaaN duub sakay
tum say chalti rahay yeh Raah yunhi acha hay
tum nay muR kar bhi na dekhaa tou koi baat nahi..!!
** By: Faiz **