labon par hansi, ankhon main ashk paaray thay
yeh phool kah khil kar murjhanay kay ishaaray thay
tum hanstay hanstay ro detay hum apna hi chain kho detay
jo humain tees detay thay woh sab zakham tumharay thay
sab sey naata torr liya tum ko hum na chorr sakay
laakh ziddi thay magar teri mohabbat sey haaray thay
dard main doob jaatay thay hum dekh nahi paatay thay
jo teri aankh kay aansoo thay moti thay ya taaray thay
go zuban sey nahi kahtay magar dil ki dharkan kahti hai
tum sacchay dost humaray thay, tum sab sey piyaray thay
~Anmol~