Tum poocho aur maiN na bataoN, aisay tau haalat nahiN
aik zara sa dill toota hai, aur tau koi baat nahiN
kiss ko khabar thee, saamnay baadal bin barsay uRjatay haiN
saawan aaya, laikin apni, qismat maiN barsaat nahiN.
toot gaya jab dil tau phir, sansoN ka naghma kya maani
goonj rahi hai kyoN shehnayi, jab koi baarat nahiN.
meray ghamgeeN honay par, ehbab haiN kyoN hairan Qateel
Jaisay maiN pathar hooN, mairay seenay maiN jazbaat nahiN.