Re: Tum ney sehmey huwey parindey ko kabhi deikha hey!
Wah Amal aap tou waqei buhat zabardast likhtay hain:-) by the way main nay sehmay huwey parinday ko dekha hay issliye hum iss dawat pe nahin aain gay,koi aur dawat bhejo :~p
Jinhain Urdu Parhni nahin atti :-d
Tum nay sehmay huwey parinday ko kabhi dekha hay
Apnay qaaflay say bichera huwa aik sehma parinda
Jis ki tanhaai pe rafaaqton ki koi qabaa bhi na ho
Jis kay paron mein aur uRnay ka hoslaa bhi na ho
Jo falak ki baahon mein chuhpi huwi hawa say daray
Jisay apnay safar aur muqadar ka kuch pata bhi na ho
Jo ajnabi raah kay kisi moR par tnhaa baethay
Apnay qabeelay kay palat anay kay khawaab buntaa ho
Har lamha barhti huwi taareeki kay sanaatay mein
Kisi shikaari kay qadmon ki chaap suntaa ho
Shauq-e-tamasha hay tou kisi roz mujhsay milnay aao
Tumnay sehmay huwey parinday ko nahin dekha agar!
Amal