isi zameem per kuch sher erz haiN
Yeh phool mujhe koi virasat meiN miley haiN
Tum nay mera kaNTooN bhara bistar nahiN dekha
shab bhar tumhare yaad meiN jalta raha hooN maiN
tum nay meray visal ka manzar nahiN daikha
maiN nay tumharay naam ko chooma hay baar-ha
tum nay meray mizaaaj ka gohar nahiN daikha
maiN bar-o-Gham-e-dil tumhaiN kahata raha phir bhi
tum nay meray khuloos ka mahver nahiN daikha
barsa hay teray naam ko lainay kay jurm per
tum nay meray maathay pay woh pathar nahiN daikha
baras-tay rahay ho tum meree aaNhoon say musalsal
tum nay meray naseeb ka zaiver nahiN daikha
soo baar TooT-ta hay meray dil ka nageena
tum nay meray ander bhara mahsher nahiN daikha
ab na Nabeel chaand sitarooN ko daikhna!!!
tum nay meray khloos ko abter nahiN daikha
**