Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

Amal bhai sai ma’azrat kay saath :stuck_out_tongue: yeh parody paish karnay ki jurrat kar rahaa hooN.. parody ISS](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=177948)nazm ki hai … I really liked Amal bhai’s poetry but I read it at the time when Pakistan lost test match in Kolkata against India and I was so sad about it but writing this made me smile :slight_smile: Thanks Amal bhai :flower1:

Tum nay haaray huvay khilaaRi ko kabhi dekhaa hai?
Apnay aap ko hi aik hi ball par haaraa huvaa khilaaRi

**Woh ik shoT jiss kay ba’ad haath maiN kuch naa rahai **
Medaan maiN khel kay chit woh aisaa paRay

kay Run banaanaa bhee chaahay run bun hi naa sakai

Jiss kaa catch har zubaaN par aam ho jaaye {Afridi}
Jiss ki Gugli har baar naakaam ho jaaye {Kaneria}

Jo apni ball khail ke medaan maiN neechi rakhay
Khud apni ball kay haathoN budnaam ho jaaye

Shoq-e-tamashaa hai tau kissi roz Pakistan aao
Tum nay Pakistani khilaaRi ko naheeN dekhaa agar?
Tum nay haaray huva khilaaRi ko naheeN dekhaa agar?

–Anwaar

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

:) Nice AQ !

sorry per ye misra bhi dil kara keh doon......Mazraat k saath AQ and Amal

Tum nay Rishwaat letay huay apnay mulk k khilari ko dekha hai
apnay mulk kay Naam ko aik hi jhatkay main zameen per lanay wala khilari......

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

:D
Nice one :)

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

LOL Lamhay :stuck_out_tongue: ab itnaa bhee naheeN hai:hehe:

I dun believe that about Inzi :snooty:

GS: thanks :blush:

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

itna kharab bhi nahin khailtey acha?:hoonh: younas ki aur inzi ki batting nahin dehki aap ney :hoonh: afridi aur kineria ki bowling nahin dehktey aap?phir aap dehktey kia hein haan?:hoonh::snooty:

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

hehe :smiley:

:k:

Re: Tum nay Haaray huvay KhilaaRi ko Kabhi dekhaa hai?

maiN poora match dekhtaa hooN :alhamd: