tum nay morjahay hoay pohl khabhi dekhay hain? dil ke qabro’n pay paray… hijr ke laash ke aankhon pay dahray tum nay uktaAyay hoay khwab khabhi dekhay hain? dard ke palko’n say liptay hoay khahbrayay hoay tum nay bay-chain duaayein khabhi dekhe hain? mohabbat kay kinaro’n pay bahtaktee pihrte tum nay dekha hai mujhay? kia khabhi dekha hai mujay?
tujh say bichra hu to aaj aaya mujhay upna khiaal
aik qutra bhi nahi baaqi, kay huu pulkain to num
meri aankho kay summundur kon sehra pee gaaey
aik aanso ko turrusti hay meri tuqreeb-e-ghum
main na roo paaya to soocha muskra kay dekh lu
shaayud is bay jaan paikur main koi zinda ho khuaab
pur lubbo kay tun burhuna shaakho pur ab kaha
muskuraahut kay shugoofay khunda dil kay ghulaab
kitna weeraa ho chuka hay meri husti ka jumaal
tujh say bichra hu to aaj aaya mujhay apna khiaal