Jangal thay tareek kahin , kahin matti rait k teelay thay,
Ishq ki rah mein anay walay pather b nokiley thay
Teray hijar k naag ka dasna kuch itna zehreela tha,
Meri ankh se behnay walay ansu neelay neelay thay,
Sanson ki shatranj b haray phir bhi mil na paye wo,
Un k piyar mein khayal shayad, reet, riwaj, kabeelay thay..
Tum nahaq naraz hue,wrna mekhane ka pta
Hm ne hr us shkhs se pucha,jis k nain nashiley thay..