shehr k dukaa’n-daaro
karobaar-e-ulfat mein
sood kya, ziaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
dil k daam kitnay hein
khwaab kitnay mehngay hein
aur naqd-e-jaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
koi kaesay milta hai
phool kaisay khilta hai
aankh kaisay jhukti hai
saans kaisay rukti hai
kaisay raah nikalti hai
kaisay baat chalti hai
shoak ki zabaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
wasl ka sakoo’n kya hai
hijr ka janoo’n kya hai
husn ka fasoo’n kya hai
ishq ka daroo’n kya hai
tum mareez-e-danaee
maslehat k shedaaee
raah-e-gumrahaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
zakhm kaisay phalatay hein
daag kaisay jaltay hein
dard kaisay hota hai
koi kaisay rota hai
ashq kya hai naalay kya
dasht kya hai chhaalay kya
aah kya, fugaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
namuraad dil kaisay
subh ko shaam kartay hein
kaisay zinda rehtay hein
aur kaisay martay hein
tum ko kab nazar aee
gham-zado’n ki tanhaee
zeest-e-bay-amaa’n kya hai
tum na jaan paao gay
jaanta hoon mein tumko
zoak-e-shaairi bhi hai
shakhseeat sajaanay mein
ek ye maahiri bhi hai
phir bhi hurf chuntay ho
sirf lafz suntay ho
in k darmiaa’n kya hai
tum na jaan paao gay