tum mujhey ab yaad na aana..

aansoo main ney rook liye hain
khwab gharonda toor diya hai
khat bhi sarey phaar diye hain
dil ko main ney baandh liya hai

bund ye saarey khool na jana
tum mujhey ab yaad na aana..

sheesh mehal kay sunder supnay
tu ney chikna choor kiye hain
teray naam pe behtay aansoo
khamooshi sey zubt kiye hain

zubt kay bundhun toor na jana
tum mujhey ab yaad na aana..

ik ik ker kay sarey punchee
apney gharoon ko chaley gaye hain
praym nager kay wa durwazay
main ney thuk ker bund kiye hain

dur ye sarey khool na jana

  • tum mujhey ab yaad na aana..*

It is beautiful... but i dont think it is in eighter's control... what you say....

thanks for sharing

nice one viv:k:

but tum wohi kyoon post kurtee ho jo mae kurna chahtee hoon :snooty:

tum mughe yaad na ana..

nice.. :)

very nice :k:

Thanxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx Friends… :kiss:

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Suraj her subh aa'tay main
Shab bhar ke ansu chu'ay ga
band palkon ko dhiray say chomay ga

Shaam shafq jab jab cha jay
Suraj Alwida ke lamhay main
Teri jadu aankhon main
Pyar ke khawb jagay ga
Sari raat rolay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Tanha chandni raton main
"Raat ki rani" ki bailon main
khushbu ban kar phailay ga
uljhi laT say Ungli ban kar khailay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
DhaRkan dhaRkan sadaa ban kar
khoon sa ragon main phailay ga
kaisay momkin tum bin woh khush reh-lay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Piyar ka pehlay qatra ban kar
aankh main teri phailay ga
yaad say meri khailay ga

..........
..........
Adab Arz
(Azad)

(well its on line again, i wonder when i will find pen and piece of paper to note them down, sorry for any mistake as i never had time to read my poetry again )

Sudaii .................. see i did reply

Azad jee... likhnay kay liya Qalam tu sath rakha karain..

Wasay acha hai... Aap ka hai...

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Suraj her subh aa'tay main
Shab bhar ke ansu chu'ay ga
band palkon ko dhiray say chomay ga

Shaam shafq jab jab cha jay
Suraj Alwida ke lamhay main
Teri jadu aankhon main
Pyar ke khawb jagay ga
Sari raat rolay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Tanha chandni raton main
"Raat ki rani" ki bailon main
khushbu ban kar phailay ga
uljhi laT say Ungli ban kar khailay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
DhaRkan dhaRkan sadaa ban kar
khoon sa ragon main phailay ga
kaisay momkin tum bin woh khush reh-lay ga

Jab tak dil dhaRakta rahay ga
Azad ata jata rahay ga
Piyar ka pehlay qatra ban kar
aankh main teri phailay ga
yaad say meri khailay ga

..........
..........
Adab Arz
(Azad)

(well its on line again, i wonder when i will find pen and piece of paper to note them down, sorry for any mistake as i never had time to read my poetry again )

Sudaii .................. see i did reply
[/QUOTE]

beautiful poem............. aap bohat acha likhtey hain...... Thanxxxxxxxxxxxxxxxx 4 ur reply.........

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Azad jee... likhnay kay liya Qalam tu sath rakha karain..

Wasay acha hai... Aap ka hai...
[/QUOTE]

aap gift kar do na :)

Jo humara hay woh acha hay jo humara nahi hay woh Raqeeb ka hay

zabardast!

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *

beautiful poem............. aap bohat acha likhtey hain...... Thanxxxxxxxxxxxxxxxx 4 ur reply.........
[/QUOTE]

mood ki baat hay hota rehta hay

Yeh koi izhar e mohabat nahi hay
woh mashriqi larki yahein kahain hay

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
zabardast!
[/QUOTE]

Yaar ya zabardast kis ko kah rahee hoo aap...

mujahay ya azad ko

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

aap gift kar do na :)

Jo humara hay woh acha hay jo humara nahi hay woh Raqeeb ka hay
[/QUOTE]

Raqeeb ke baat say yaad aya...

Aadhoori gazal ka zikara khair tu nahi hoo raha ;)