Tum mujhay bus ye Dua daina

Mohobbat ik Dua hai
Mujhay bus ye Dua daina
Khata koi jo ho jaye
Kabhi lehja badal jaye
Zaroori baat reh jaye
Mera chehra bigar jaye
Ager pehchaan na paon
Tumhay gar jaan na paon
Dua daina

**Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina
Sitaray tor na paoon
Tumharay kaam na aaon
Tawazun jo na reh paye
Nazar bandi nazar aaye
Ishara ho shararat ka
Koi dhoka basarat ka
Dua daina

Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina
Main tum se keh nai paya
Tumharay naam ka saya
Meray humrah rehta hai
Mujhay her pal ye kehta hai
Koi mushkil jo dar aaye
Tasawur mera dhundlaye
Dua daina

Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina…**

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

Muhabbat aisi hi dua hai, jaise Maa ki bad-dua ja beta rikshaw chala

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

Bohat Umdah…:lajawab:

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

:cb:

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

vry nice:k:

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

han g mohabat ki dafa MAA esi dua hi kion deti hein :D

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

Maa ko bhi ikhtiar ganwate huwe bura lagta hai

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

maaen kehti hein

“JO MERA NA HUA TERA BHI NA HOGA”:frowning: :hoonh:

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

ab aap to ye baat na kahen medi jind

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

kis ki maan
larke ya larki ki

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

yeh itlah hai ya bad dua

Re: Tum mujhay bus ye Dua daina

laRke ki