tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
a.nkahii baat ko samajhoge to yaad aauu.Ngaa

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aauu.Ngaa

isii a.ndaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauu.Ngaa

sard raato.n ke mahakate hu_e sannnaaTo.n me.n
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauu.Ngaa

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud i.nhe.n po.nchhoge to yaad aauu.Ngaa

shaal pahanaa_egaa ab kaun disambar me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaadd aauu.Ngaa

aaj tuu mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauu.Ngaa

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauu.Ngaa

Nice, Juni^boY Thanks for sharing: and welcome aboard hope u enjoy:~)

:k: bhooot achay

Excellent but very depressing...

ye aankhen hoti hi aisi hain!

sab keh jaati hain! aur deep impact bhi chor jaati hain! :slight_smile:

thanx for sharin! :k:

Wah …Nice choice…

Bohot khoob:k:

mujey nahein pata tha keh ankh yeh sab ker sakti hai! :hehe:

Buhat khoob :k:

:love:..