zabardasttttttttttttt!!! its one of my fav. one :k:
wasi shah kaa naam suntey hi mujhey yea nazm yaad aa jati he :~)
kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa ..
tu bare pyaar se bare chaao se bare aramaan ke saath ..
apani naazuk si kalaai main charhaati mujh ko ..
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon main ..
tu kisi soch main Doobi jo ghumaati mujh ko ..
main tere haath ki Khushbu se mehak saa jaataa ..
jab kabhi “mood” main aa kar mujhe chumaa karti ..
tere honThoN ki shiddat se main dehak saa jaataa ..
raat ko jab bhi tu neendoN ke safar par jaati ..
mar-mari haath kaa ik takiyaa banaayaa karti ..
main tere kaan se lag kar kaeeN baatain karta ..
teri zulfooN ko tere gaal ko chumaa kartaa ..
jab bhi tu band qabaa kholney lagti jaanaaN ..
apani aaNkhooN ko tere husn se kheraa kartaa ..
mujh ko betaab saa rakhtaa teri chaahat kaa nashaa ..
main teri rooh ke gulshan main mehakataa rehtaa ..
main tere jism ke aaNgan main khanaktaa rehtaa ..
kuch naheen to yahi benaam saa bandhan hotaa ..