Tum meri aankh ke tevar na bhula paaoge
Ankahi baat ko samajhogey to yaad aaonga !
Hum ne khushiyoon ki tarhan dukh bhi ikhatte dekhe
Safah-e-zeest ko paltogey tu yaad aaonga !
Is judai main tum andar se bikhar jaogay
Kisi maa’zoor ko dekhogay tu yaad aaonga !
Isi andaaz mein hote thay mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likhogey tu yaad aaonga !
Meri khushboo tumhen kholegi gulaabo’n ki tarhan
Tum agar khud se na bolo gay tu yaad aaonga !
Sard ratoon ke mehakte huwe sannaton mein
Jab kisi phool ko choomogey tu yaad aaonga !
Aaj tu mehfil-e-yaaraan pe ho magroor bohut
Jab kabhi toot ke bikhogey tu yaad aaonga !
Ab tu ye ashk mein hontoo se chura leta hoon
Haath se khud inhein ponchogey tu yaad aaonga…!
Shaal pehnayega ab kaun december mein???
Baarishoon mein kabhi bheegogey tu yaad aaonga !
Haadse ayenge jeevan mein tu tum hoke nidhaal
Kisi deevar ko thaamogey tu yaad aaonga !
Is mein shaamil hai meri bakht ki tareeki bhi
Tum siyah rang jo pehnogey tu yaad aaonga !