**
......................................na bhulaa paaoge
ankahe baat ko samajhoge to yaad aaoNgaa
ham ne Khushiyon ke tarah dukh bhe ikathe dekhe
safaah-e-zeest ko palaToge to yaad aaoNgaa
isse andaaz main hote the muKhaatib mujh se
Khat kissi aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa
sard raaton ke mahakate hue sannaaToun main
jab kissi phuul ko chuumoge to yaad aaoNgaa
ab tere ashk main hounThon se churdaa laitaa houN
haath se Khud inheain pounchhoge to yaad aaoNgaa
shaal pahanaayegaa ab kaun disambar main tumhain
baarishon main kabhe bhegoge to yaad aaoNgaa
aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho magharuur bahut
jab kabhe TooT ke bikharoge to yaad aaoNgaa
haadase aayenge jeevan main to tum hoke nidhhaal
kise devaar ko thaamoge to yaad aaoNgaa
is main shaamil hai mere baKht ke taareke bhe
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aaoNgaa
**
kis ko yaar ayein ge :halo:
hehe j.k, vey nice b/w :k:
Daagh
4
aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho magharuur bahut
jab kabhe TooT ke bikharoge to yaad aaoNgaa
bahot khoob KK very nice 
Re: tum mere aankh ke taivar …
Zabardast :k:
Bohat Khoob kamran Sahab :)
Koyal
11
is main shaamil hai mere baKht ke taareke bhe
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aaoNgaa
oh ab samji k aj why am missing some one..:k: 