tum meray paas raho
meray qaatil, meray dildaar, meray paas raho
jis ghaRi raat chalay
aasmaanooN kaa lahu pi kay seyah raat chalay
marham-e-mushk liye nishtar-e-almaas chalay
bain karati hui, haNsati hui, gaati niklay
dard kay kaasani paazaib bajaati niklay
jis ghaRi seenooN main doobay huway dil
aasteenooN main nihaaN haathooN ki, rah taknay lagain
aas liye
aur bachchooN kay bilak-nay ki tarha qul-qul-e-may
bahr-e-na-aasoodgi machlay to, manaaye na manay
jab koi baat banaaye na banay
jab koi baat chalay
jis ghaRi raat chalay
jis ghaRi maatami, sun-saan, seyah raat chalay
tum meray paas raho…