tum lakh raza ke khoo dalo, kab khoo-e-sitamgar jati hy

kuch muhtasibo’N ke khalwat mein, kuch vaa’iz ky ghar jati hy
hum bada kasho’N ky hissy ke, ab jaam mein kam tar jati hy

yoon arz-e-talab se kab ay dil, pathar dil pani hoty hain
tum lakh raza ke khoo dalo, kab khoo-e-sitamgar jati hy

be daad garo’N ke basti hy, yaa’N daad kaha’N, khayraat kaha’N
sar phorti phirti hy nada’N, farayad jo dar dar jati hy

haan, jaa’N ky zayaa’N ke hum ko bhi, tashveesh hy lykin kya ke jiay
har rah jo udhar ko jati hy, maqtal sy guzar kar jati hy

hum ehl-e-qafas tanha bhi nahe, har roz naseem-e-subh-e-watan
yado’N sy muattar aati hy, ashko’N sy munawar jati hy
Faiz Ahmed Faiz from Zandaan Nama

Re: tum lakh raza ke khoo dalo, kab khoo-e-sitamgar jati hy

hum ehl-e-qafas tanha bhi nahe, har roz naseem-e-subh-e-watan
yado’N sy muattar aati hy, ashko’N sy munawar jati hy

Kia baat hai Faiz Saheb ki.. Thanks for sharing :k: