Tum ko shohrat ho Mubarak
*kitney badal ghay hain wo halat ki tarha
jub bhi milay hain pehli mulakat ki tarha
hum kya kisee ke husn ka sadka utartey
ik zindaghi mili bhi tou khairaat ki tarha
ehy zindaghi
ik baar tu nazdeek aah tanha hoon main
yaa door se phir de mujhey koe sadah tanha hoon main
duniya ki mehfil main kaheen main hoon bhi shayad ya nahi
ik umar se es sooch main dooba hua tanha hoon main*