koiDost
1
aadaab, dosto!
Dosto yeh ghazal humari aik bahut acchi dost nay likhi hai dil kiya aap k sath share karon .mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.
**Ghazal
tum ko jana tha gar bata detay
neeNd maeN thi mujhay jaga detay
shaam ke garbh mein aNdhera hai
dhalne ki na usay sazaa detay
mayray khwaboN kay aashiaanay ko
ik shajar to hara bhara detay
Ankh malti hi reh gai thi maeN
khwaab mujh ko na tum bura detay
ziNdagi ka tou aNt hona tha
aakhiri saaNs tou dila detay
phir maeN girti na apni nazroN say
tum agar apna aasra detay
yeh bhi mumkin tha maeN bhi jal jati
tum agar khat meray jala detay
dil ka kuch to ghubaar kam hota
jatay jatay mujhay rula detay
apnay kamray say apnay dil ki tarha
mayri tasweer bhi hata detay !!!**
Sinner
2
wow amazing man I like it very very much and i read it full even though it was very mushkil 2 read…
:k: :k:
Sinner
3
Re: Tum ko jana tha gar bata detay.
really very very nice man, i m fallen love with it may be i goona use it in my signature

Sinner
4
jaisay jaisay parhta ja raha hoon utni hi achi lag rahi hai yeh ghazal.
it brings tears in my eyes man ,
its really heart .... i don't know how 2 explain i hav no words
*dil ka kuch to ghubaar kam hota
jatay jatay mujhay rula detay
*
zabar10 :k::k:
koiDost
11
Thanx HH Jee and Sinner thanx aap ka bhi per aap ki tareef main mujhay kuch shaq ho raha hai :)
Sinner
12
[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *
Thanx HH Jee and Sinner thanx aap ka bhi per aap ki tareef main mujhay kuch shaq ho raha hai :)
[/QUOTE]
kiya matlab ?
reet
15
dil ka kuch to ghubaar kam hota
jatay jatay mujhay rula detay
apnay kamray say apnay dil ki tarha
mayri tasweer bhi hata detay !!!
really veerrryyyy nice…:k::k:
koiDost
16
Thanx **Ghazal,Irem and Reet **