Tum ko gaye huwe din nahee ... muddattain guzar gaeen hain

Hamaray apne jitnay thay … woh paraaye ban gaye hain
Choti si meri bhool thee … Sau afsaanay ban gaye hain
Jis shaks ko mein ne chaaha thaa… sirf ek wohi na mila
Waisay tu mere is shehar mein … kaee deewanay ban gaye hain
Ek mein hi sirf muntazir nahee … tum ko bulaanay ke leye
MEre shehar ke saaray mausam … be-rutt suhanay hogaye hain
Teri waapsi ka kya suna … Meri jaan mein jaan aa gaee
Mere laboo pe teri chaahtoo ke … kaee taranay ban gaye hain
Sirf mein hi ek huwi darbadar … Lekin is ka gilla nahee
Waisay tu meri je’had se … kaee ghiraanay ban gaye hain
Tum ko gaye huwe din nahee … muddattain guzar gaeen hain janaan
Naye jitnay bhi zakhm deyey thay … saaray puraane ban gaye hain
Band kamray, sehra aag ke … aur kharoon ka gulistaan hai Dost
Dekho hum chaahanay waaloo ke … kitnay thikanay ban gaye hain
Bacha bacha kehta hai … teri hi galti thee ‘Amarbail’
Dekheye ab mere saamnay ke … bachay seyyanay ban gaye hain…

humm

hummmmmm :)

zAbArduSt:k:

Bacha bacha kehta hai ... teri hi galti thee 'Amarbail'
Dekheye ab mere saamnay ke ... bachay seyyanay ban gaye hain...

ap ab budhay bhuriaa ke sift mein tashreef farma thehreen

teri hi galti thee galtiyan mat kia karoo buri bala hae

khoobsorat choice .

:k:

Lolz @ the last shair
Well nice one Amrbail ..Zabardast hai :k: