tum kiya samjhti hoo ... !!

***tum kya samajhti ho?
main nay apne dil se tumhe nikal diya?
haan, sahi samajhte ho
tumhe dil sy nikalne ki koshish main hun

aik aik karke
dil say dharkan juda karta ja raha hun
saans lene ka haq
khud se cheen raha hun
rafta rafta … lamha lamha
tumhe apne dil say nikal raha hun
tumhe khud say nikal rah hun

tumhara wajood …
jo kisi asaib ki tarah chimta hai mujhse
us ko khud say noch raha hun
nahi jaanti tum …???
khud apne ap ko noch raha hun …
k shayad is tarah …
tumhara wajood mere wajood se nikal paye

rooh ka parinda jis din …
is jism se azaadi paayega
aur …
tumhara wajood ..
mere wajood say azaadi paayega …
tab , haan tab
main tumhare dil main phir aik bar aaounga
tumhari …
aur apni azaadi ka jashan manaane !!!***

Re: tum kiya samjhti hoo ... !!

nikaal do......... :) good job

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

kaise nikal doon … dard hota hai :crying:

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

:teary3:

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

koi yaad aa reha hai kiya … :frowning:

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

Zabardast sharing sarmad786 … :k:

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

:teary3:uffffffffffffff itna dard
:lahol:
parh k 2 nafal bhi parlo shaytaan chor jaega

Re: tum kiya samjhti hoo ... !!

iam really sad

Re: tum kiya samjhti hoo ... !!

y r u sadoo sadoo .. :(

Re: tum kiya samjhti hoo ... !!

:(

Re: tum kiya samjhti hoo … !!

:crying:

Re: tum kiya samjhti hoo ... !!

Sad One Sarmad.. :(