(yah nazm jang e iraq kay pas e munzer mein likhi gaee hay)
tum kia chahtay hoo
bekasoon ki duhaee chahaty hoo
zindagi ki ruswaee chahtay hoo
apni shaqawut ki puzeraee chahtay hoo
chahtay hoo
rahatain benaam ho jayain
zulmatain her gaam ho jayain
adawatain la tamam ho jayain
aur tum sama jaoo
in khak uratay regastanoon mein
in lahoo rulati ankhoon mein
in nukhlistanoon ki shamoon mein
aur chaiktay phiro
in fakazada bustiyoon mein
in barbad makanan e hustiyoon mein
in latadad siya bukhtiyoon mein
tum galti per hoo
tum jantay hoo
zindagi apna hisaab lay ker rehti hay
jub muzloomoon ki aahain bahum ek sada bun jati hain
woh apni misaal aap bun jati hain
woh noor ka nishaan bun jati hain
khulq ki zaban bun jati hain
phir koi jaya amman nahee rehti
phir naqara e khuda buj kay rehta hay
aur zulm ki sham ho kay rehti hay
gur yahee tumhari chahat hay
to intizaar keroo
kay waqt e khiraj aaya hi chahta hay
kay waqt e khiraj aaya hi chahta hay
Siso amazing stuff ! aap nay agar ye likhi hai tu aap nay haar woh feelings likhi hain jo aik musalmaan k ander ka ehsaas hai, iss nazam k liye tareef jitni bhi ki jaye kaam hai!
aaj kal jo halaat hain jung k uskay liye haar musalmaan ki yahi feelings hain dukh o runj k ehsaas k saath!
LAMHAY sis mein na hi likhi hay yah poem yes wakai aaj kal yahee ehsasat hain her musalman kay iraq kay lia aur meri poem un kay juzbat ki turjuman hay.
thanks 4 liking.
Great job Dr. Shaera:k:…just a small note,
a thread by one of our fellow member has specially
been dedicated to Iraqis in particular and Muslims
in general. It would have been better had you also
contributed this amazing poem of yours in that
thread. Kam-az-kam hum log yahaaN par to kisi aek
forum par ikatthey ho saktey heiN ya scattered
rehna hum musalmaanoN ki qismat meiN likha hey!