Tum kahan tak mujhay satao gay
Kab talak zehr-e-ghum pilao gay
Sunnay wala tou hogaya khaamosh
Haal-e-dil ab kisay sunao gay
Yaad sarghoshiyaan karain gee jab
Wahshat-e-dil chupa na pao gay
Meri sacchai meray lehjay sey
Tum bhala khaak kya mitao gay
Husn-e-fitrat sey hum kalaam hoon main
Tum mujhay aur kiya sunao gay
Shehr-e-dil main raha nahi koi
Tum ghazal ab kisay sunao gay
Muntazir ab bhi main tumhara hoon
Tum na aai ho aur na aao gay
Ab majeedi wahan nahi koi
Aur kab tak sada lagao gay
Re: Tum kahan tak mujhay
[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
Tum kahan tak mujhay satao gay
Kab talak zehr-e-ghum pilao gay
[/QUOTE]
Ya asa sawal hai ka jis ka jawab nahi mila kisi koo behi....
Bohat khoob.... Dilsay likha hai aap nay lagta hai...
Nice :k: