Since you have appreciated my first nazam few days back, ubb aap logon ko meri yeh nazam bhi bhugatni hogi
( aur karain tareef, ubb parhain aur jaldi jaldi wah wah karain )
kisi ki yaad main kisi ki talash main
dhoontay howay kisi ko jab
Shaam dhal jay aur andhera hojay
phir bhi wo na aayay
wo aisa to nahi tha
phir kia wajah hay
koi waada to nahi kia lekin
phir yeh dil kiyon udaas hay
wo ayaga, kiyoon hamain hay yaqeen
ankhain nam hain dil udaas hay
wo nahi aaya zaroor koi baat hay
wo aisa to nahi tha lekin
wo waaday wo qasmain jhooti to nahi theen
yeh kaisa imtehaan hay
bay chain to wo bhi hoga zaroor
dil yeh mera kehta hay mujhay
phir itna bay hiss kiyoon hay wo aaj
wo haseen shaam bhi dhal gayee
ubb to ankhon main bhi andhera sa hay
wo baywafa to nahi par zaroor koi baat hay
yeh ansoo meray nahi usi kay hain
yeh dil mera nahi usi ka hay
yeh dil udaas hay aaj zaroor wo bhi udaas hay
qaboo nahi iss par magar yeh baywafa bhi to nahi
kiyoon saath chor dia iss dil nay hamara
tum zaroor ayagay mujhay hay yeh yaqeen
meray liay na sahi apnay dil lainay to ayogay zaroor…
ohhh..to aap bhi shair hein…
next mushaire mein surprised nahi ho jayayii ga if we call u up achha!
hehe…
wese shairi to hum bhi kerte hein…(family mein hai ) par mein samajhti thhi…keh itni buri hai…log mazzaq uraayein ge…par…jab AISI ghazal ki itni taareefein ho rahi hein..to phir kahan meri ghazal
nahi nahi…ata unkil i am jus kidding achha…BOHAT BOHAT ACHHI HAI…
:k:
** koyal **
aap kay pehlay waalay reply ka no reply hehe cuz khamoshi is the best policy
** Rani Pakistani **
Just one word for her, she needs appreciations here, she is a lil daughter of a well known poet in his circle, and I am sure she can amazed us with her shairi skills, she got in inhertance :k:
** Chanduu ** bohat bohat shukria, … an waisay shairi kana itna mushkil nahi hehe aap bass likhna shroo karain, shair khud bakhud aa hi jaatay hain, waisay main nay yeh nazam bhi fil-badi kahi thi oehlay wali ki tarah sharmaing
aur dedication… umm ok I will
** koyal ** na to wo nai hain aur na hi aap
** Guest7777 ** yeh aap ka husn-e-zarf hay warna to aisi koi baat na thi, shukria
** Ghazal ** bass try ki thi, I know kay yeh aap logon kay standard ki nahi lekin phir bhi, shukria
kuch ham nay kaha kuch aap nay suna
ham kehtay rahay aap suntay rahay
aap sogayay ham kehtay rahay
aap uth gayay ham kehtay rahay
aap doobara sogaya ham kehtay rahay
aap…
hehe
hmm… kon khoya tha, Q bataoon
tha koi zaroori hay har baat pata ho
aur khud say ziada yaqeen hay uss par q k mera kuch saamna unn kay paas hay
waisay shukria aap ka bhi hehe
ohh my goddd!! u r funny
aap hi ko bataain ge yeh log aik baar mein post ker doon to…hehe…
jee nahi…meri shairi to bus…aesi wesi hi hoti hai…
mein post ker keh sub ke diloon mein se yeh baat nahi nikaalna chahti keh i am a good shair..hehe