tum jab aaoogii

ramzz

tum jab aaogii tu khoya hua paoo gii mujhay
meri tanhai mein khawboon kay siwa khuch bhi naheen
meray kamray ko sajaanay ki tammana hay tumheen
meray kamray mein kitaboon kay siwa khuch bhi naheen

in kitaboon nay bara zulm kia hay mujh par
in mein ik ramzz hay jis ramzz ka mara hua zehan
masda-e-ishrat anjaam naheen paa saktaa
zindagi mein kabhi aaraam naheen paa saktaa

Re: tum jab aaoogii

Good One .. :k:

Re: tum jab aaoogii

one of my fav which is also in my diary ....... keep it up Ali

Re: tum jab aaoogii

waqaee warnaa peer o murshid jaun saab ku buhat kam log samajhtay hain