Jiss Key Taabeer Koi Nahee Milli Tum Hee Too Woh Khawab Hoo
Jiss Key Mahek Hum Tak Naa Aaiee Tum Hee Too Woh Ghulab Hoo
Piyass Kay Sehra Main Umeed Tooti Hai Kabhi Jaagtii Hai
Jiss Tak Kabhi Poohanch Na Paiy Tum Hee To Woh Sarab Hoo
Dil Key Khawahish Thee Oor Tum Sarapa Unwaan Bhee Thay
Tahreer Kar Na Paiy Jissay Kabhi Tum Hee Too Woh Kitaab Hoo
Jharnoon Ka Shoor Yaa Koil Key Kook Kuch Dil Koo Bhata Nahee
Jiss Key Jhankaar Koo Hum Sunna Chahain Tum Hee Too Woh Rubab Hoo
Mazhab E Ishq Kaisay Samjhain Inn Pathar Dil Waloon Koo
Gunah Kehtii Hai Zalim Duniya Jissay Tumm Hee Too Woh Sawab hoo
Tumharay Sub Kahtoon, Ka Sawaloon Ka, Mohabat Ka, Khawaboon ka
Zubaan Say Joo Adda Kar Naa Paatay Shayaid Tum Hee Too Woh Jawab Hoo
Woh Mill Jaaay Thay Her Rooz Jinhain Hum Dhoondtay Nahee Thay
Jiss Key Humain Talash Thee Subah o Sham Tum Hee Too Woh Nayab Hoo
Tofaan Jiss Shaher e Dil Main Bhoolay Say Bhee Naa Aatay Thay Kabhi
Iss Tabahii Ka Rasta Dikhaya Jiss Nay Tum Hee Too Woh Asbab Hoo