sab ka ahsaan uthanay ki zaroorat kia hay
saath hu tum tu zamanay ki zaroorat ki hay
masla dono ka hay tu tay bhi karay gay dono
sha-har ko beech may laanay ki zaroorat kia hay
Dil say tay kar kay kisi rooz alag hu jaoo!
Chorna hay tu bahanay ki zaroorat kia hay
Khwahishay dil say nikal aae tu hairat kaisee
In parindo ko thikanay ki zaroorat kia hay
Kia hua us say jo pehla sa talooq na raha
She-har ko chor kar janay ki zaroorat kia hay
Ghol chiryon ka tumhay kio nahe acha lagta
Jheel may zehar milanay ki zaroorat kia hay
Dil nasheeni ka wo kahta hay tu may sochte hu
Sang ko aaina khanay ki zaroorat kia hay
Phool ko shor machatay kabhi dekha hay Qamar
Tum hu khushboo tu batanay ki zaroorat kia hay
hello guyz and galz u also
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
..i m khabees …basically paki but living in dublin and this is ma first post here in pak.org ..and its a poem by Rehana Qamar and i really love it…so be patient and bear kar laina isay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
tcz all of ya