Jis ki tabeer nahi mili tum hi to wo Kwab ho
Jis ki mahek hum tak na aye tum hi to wo gulab ho
Pyas ke sehra main umeed kabhi tootiti hai kabhi jaagti hai
Jis tak kabhi poonch na payay tum hi to wo sarab ho
Dil ki kwaish thi aur tum sarapa unwan bhi thay
Tehreer ker na payay jisay kabhi tum hi to wo kitab ho
Jharno ka shoor ya koyal ki kook, kuch dil ko bhata nahi
Jis ki jhankar ko hum suna chahain tum hi to wo rubab ho
Mazhab E Ishq kesay samjhaya in pathar dil walo ko
Gunah kehti hai jisay zalim dunya tum hi to wo sharab ho
Tumharay sab Qaton ka, sawalao ka, mohabat ka, kwabo ka
Zuban se jo ada ker nahi payay shayad tum hi to wo Jawab ho
Wo mil jatay te her rooz jinhay hum dhontay nahi thay
Jis ki humay talash thi subh o sham tum hi to wo nayab ho
Tofan jis shahar E dil main bholay se bhi na ayay thay kabhi
Is tabhaye ka rasta dikhaya jis nay tum hi to wo asbab ho